Ads 468x60px

Featured Posts

.

Friday, August 31, 2012

Jazba-o-Shoq Ki Rawaani Mein

Jazba-o-Shoq Ki Rawaani Mein
Galti Ho Gayi Jawaani Mein
Zindagaani Tou Jaisay Doob Gayi
Hijr Aur Gham Ki Be-Karaani Mein
Jaanay Kia Keh Gaya Hai Ashkon Ko
Aag Si Lag Gayi Hai Paani Mein
Ik Din Dil Hawaas Kho Baitha
Ik Choti Si Naagihaani Mein
Tajziya Hee Nahe Kiya Os Ka
Umer Beeti Hai Khush-Gumaani Mein
Oski Aadat Se Mujhko Lagta Hai
Koi Lazzat Hai Bad-Gumaani Mein
Ik Kashish Si Ajeeb Hoti Hai
Ishq Ki Saltanat Ki Raani Mein
Wo Mujhe Dekh Kar Bohat Khush Hai
Dukh Ke Sooraj Ki Saayebaani Mein
Ik Mohabbat Hai Aur Judai Hai
Umer Ki Mukhtasir Kahani Mein

Pindaar Ke Khogar Ko Naqaam Bhi Dekho Ge?

Pindaar Ke Khogar Ko Naqaam Bhi Dekho Ge?
Aaghaaz Se Waaqif Ho Anjaam Bhi Dekho Ge?
Rungini-o-Duniya Se Mayoos Sa Ho Jana……
Dukhta Howa Dil Le Kar Tanhaayi Mein Kho Jaana
Tarsi Howi Nazron Ko Hasrat Se Jhuka Lena
Faryaad Ke Tukron Ko Aahon Mein Chhupa Lena
Raaton Ki Khamooshi Mein Chhup Kar Kubhi Ro Lena
Majboor Jawaani Ke Malboos Ko Dho Lena
Jazbaat Ki Wusat Ko Sajdon Se Basaa Lena
Bhooli Howi Yaadon Ko Seenay Se Laga Lena

Fasley Aisey Bhi HoOnge Ye Kabhi SoOcha Na Tha

Fasley Aisey Bhi HoOnge Ye Kabhi SoOcha Na Tha………..
Saamne Baitha Tha Mere Aur WoO Mera Na Tha………….
WoO KhushboO Ki Tarah Phaila Tha Mere Char SoO……..
Main Usey MehsoOs Kar Sakta Tha ChhoO Sakta Na Tha……..
Raat Bhar Us Ki Hi Ahat Kaan Main Aati Rahi…….!
Jhaank Kar Dekha Gali Mein ToO Koi Bhi Aya Na Tha……..
Aks ToO MaujoOd They Par Aks Tanahai Ke The…………
Aaeina ToO Tha Magar Us Mein Tera Chehara Na Tha………..
Aj Us Ne Dard Bhi Apaney Alehda Kar Liye………!
Aj Main RoOya ToO Mere Sath WoO RoOya Na Tha……….
Ye Sabhi Viraniyan Us Ke Juda HoOney Se Theen………….
Aankh Dhundhalai Thi Shahar Dhundhalaya Na Tha…………
Yad Kar Ke Aur Bhi Takalif HoOti Thi ……………..
BhoOl Janey Ke Siwa KoI Chara Na Tha………….

Ghulabon Se Mehki Lari Ho Gayi Hoon

Ghulabon Se Mehki Lari Ho Gayi Hoon
Mohabbat ki Pehli Kari Ho Gayi Hoon,
Mujhe Tune Aisi Nighaah se Dekha
K Mai Ek Pal Mein Bari Ho Gayi Hoon,
Sar-e-Shaam Aane ka Hai Us ka Wada
Mai Subah Se Darr Par Khari Ho Gayi Hoon,
Na Churwa sakoge kabi Haath Apna
Mohabbat Bhari Hath-Kari Ho Gayi Hoon,
Boht Door hai Mujh se Khushyon ka Mosam
Musalsal Ghamon ki Jhari Ho Gayi Hoon,
Juda kar Na Payega Ab koi “MOHSIN”
Wo Khushbu hai, Mai Pankhri Ho Gayi Hoon.